Nawaz-Obama Meet Today: Drone Strikes Top Agenda

No chance of peace TTP leader talks with government 14:44pm PST***** No load shedding for residential consumers: NTDC spokesman 15:44 PST***** Attacks on Imam bargahs in Gujranwala spark protests 11:00 am PST*****

Sunday 10 November 2013

Mohabbat  Aur Asaniyan bantney waley Ashfaq Ahmed
Maya naz adeeb,danishwar,writer,broadcaster aur darwesh sift Ashfaq Ahmed chand saal qabal hum say ruksat zaror hoeyey lekin who apney karoron chahney walo kay dilo may hamesha zinda rahein gain,unho ney jo illm,rohaniyat aur mohabbat Pakistani awam ko ata ki woh lazawal hai.Ajj is blog ko Urdu mai likney ka maqsad  hi un ko khiraj-e-akidat pesh karna hai.Sitara-e-Imtiaz aur pride of performance jesay ala sarkari aezazat rakhney waley Ashfaq Ahmed 22 August1925 ko Feroz pur India mai peda hoeyey aur 7 September 2004 mai Lahore mai hum say rukhsat hoeyey.









Apni ghairmamoli zahanat aur gehrey mushahidey say bohat jald unho ney apna mukam bana liya aur urdu adab ko Gadarya,Aik muhubat so Afsaney,toota kahani,band gali,Safar dar safar,safar-e-maina,man chaley ka soda,shahla kot,hairat kaadah,mehmaan saraey jesey gohar-e-nayab diye.


Ye aik nemat  hi to hai k hum aesay dor mai paida hoeyey jab humey unki akhlakiyat aur rohaniyat per mabni hikmat afroz baton say istifada hasil karney ka moqa mil raha hai.













Taqrer k fun mai to aksar hi danishwar mahir hotey hai lekin apni batain aam admi say kehney ka un ka aik khas andaz raha, jis may itni sacchai,mohabbat aur apnaiyat thi k dil un baton ki taraf khinchta hoa mehsos hota.










 yahi unki khobi thi jabkey aaj kal k machini door mai mohabbat o unsiyat ka aesa aehsas takreban naped hai.Maashrey ko pur aman bananey k silsiley mai un ka aik khas nazarya tha jiskey liyey unho ney insaan dosti aur mohabbat k pegham ko aalamgir kiya. khas tor per un key program Zaviyey ney barron key umuman aur nojawanon key mashrati raviyon ko kuhsosan behatar karney mai aeham kardar ada kia jis key natijey mai qoomi kirdar ko takwiyat hasil hoi.

Urdu,Punjabi,English,atalvi,francisi zubano per ubor rakney waley Ashfaq Ahmed

ney USA,Uk,Canada,Australia,Italy,france,China,Belgium,Holland,Lebanon,Turkey,Iran, Saudia Arab 
aur 



duniya k degar aeham mumalik ka safar kia  aur in kemti tajarbat say apney mulk ko mustafed kia yehi hamajehti aur wasi-un-nazri un ki tehriron aur guftugu ka bhe khasa rahi.
Ashfaq ahmed key barey mai bohat kuch likha aur kaha jata raha hai  aur hamesha kaha jata rahey ga kiun kay unki professional life aur zati zindagi ka shayad hi koi pehlu aesa ho jo samaeen,qaraieen aur nazreen ki nazron say ojhal  ho lekin un ka har paristar un say apney talluq ka aik alag aehwal rakta hai aur ajj meri tehrer ka maqsad bhe  isi aehwal ko nazr-e-qaraieen karna hai.

Merey bachpan key dino mai merey walid sahib Radio Pakistan per Ashfaq baba ka nashar honey wala program”Talqeen Shah”suntey they jis mai mashrati buraiyon ki nishandahi aur unka hal pesh kia jata tha.Ye program Radio Pakistan say taveel arsay (30 saal say zaid) tak nashar honey wala aesa program tha jis ney aik record qaim kia. Us waqat behan bhaiyon key sath kheltey un ki awaz suntey hoeyey unki shaksiat k sath ye mera pehla taruf tha phir merey school k zamaney mai PTV say un ka


program “Zavia”nashar honey laga aesey hi kisi program key duran merey walid ney mujhey Ashfaq Baba ki shaksiyat say baqaida mutaarif karwaya.  Mai ney us program ko bohat tawaja say dhekha  kam umri aur nasamjhi k baiz us wakat kai batein merey samhaj nahi aai lekin muhubat aur shafqat say bharey guftugu k andaz ney muhjhey un ka garvida bana diya aur meri wabastagi har guzartey din k sath Ashfaq Baba aur unki rafiq-e-hayat  bano apa say gehri hoti chali gai.Zavia insani shauoor ko bedar karney ki aik kawish thi.Jis may who Allah Ta’ala say talluq ko jorney per zor detey un k mutabiq taluq ko istawar karney key liyey kisi rocket science ki zarorat nahi hoti sirf justujo honi chahiyey un k bakol “Agar app khud Allah tak nahi pohunch saktey to usay apney pass bula lain ku k Woh to har jaga jasakta hai” aur har insaan kay andar rooshni ki aik lakir zaror hoti hai jisey woh apney aamal say barha ya ghata sakta hai”.


woh apney pechey “zavia”ki surat mai aesa guldasta chor kar rukhsat hoeyey hain jis say hamesha khushbu ati rahey gi.Zavia say un kay do aiktibasat:




                                                     









Unki badolat meri shanasai Mumtaz Mufti,Qudrat ullah shahab,Wasif Ali Wasif,Ibn-e-Insha,Faiz Ahmed Faiz,Jameel uddin AAli,Ahmed Bashir jesey maya naz adeebon aur shairon say hoi jo unsay gehri dosti aur derena marasim rakthey they.




Un kay intikal per un kay sarey chahney walon ki tarha mai bhe bohat ranjeeda thi.Kitney hi haftoon tak merey ansoo nahi tham rahey they.Aesi hi September ki aik udass sham mai bojhal dil key sath mai ney bano apa key naam aik tehrir rawana ki jis mai apney dil ka hal kuch is tarha bayan kia k un jesi danishwar aur mumtaz adeeba ney mujh per apna mohabbat bhara dast-e-shafkat rakha aur mujhey tassali baksh aur tashaffi ammez jawab arsal kia.



Bila shuba Ashfaq baba say 50 salon say zaaid arsay per muheet aik taweel rafaqat rakney wali unki sharik-e-safar Bano apa ka dukh mujh say kahi ziada hoga lekin ye Ashfaq Ahmed aur Bano Qudsia kay gharaney  hi ki rivayat hai k woh logo main is tarha asania taqseem kartey aur mohabbatain banthey rahain hain.

Hamesha mulk kay koney koney say log akar un say miltey aur apney masaail ka hal daryaft kartey rahey hain apni zandagi mai woh bari khanda peshani say mehman nawazi ki rawayat ko barkarar rakhtey aaien hain aur sab say ziada nojawano ko un ki kami bari shidat say mehsos hoti hai jin k liyey woh aik ustad bhe they aur masiha bhe  kay jis ney hamesha un ko mayousi kay andherey say nikal kar aik nai umeed di.go  kay woh ajj jismani tor per hum mai nahi lekin un key nazariyat aur tehrirain hamesha achai key rastey ki taraf hamari rehnumai karti rahain gi.Un ki kitab”Zavia”ki surat mai hamarey pas aik aesa khazana hai jis ki chamak say hamesha hamari zindagiyan munnawar rahain gain,jisay humey zaror muttalay ka hissa banana chaheye takey hum is say istafada hasil kar k apni zindagion ko assan banayen jo Ashfaq Baba ka bhe maqsad tha.Akhir mai unki is Dua k sath apni tehrir ka ikhtitam karongi jo hamesha unkey labon per rehti thi”Allah ap ko asanian ata farmaey aur asanian takseem karney ka sharaf ata farmaey,Ameen.



1 comment: